Hum pake daga fareb is zamane me rah gaye,hum dosti ka farz nibhane me rah gaye,palak jhapkte duniya humse aage nikal gai,hum dosto se hath milane me rah gaye,chupke se aake usi ne mera ghar jala dala,jiske ghar ki aag hum bujhane me rah gaye,hamare dil ka aashiyana jalta raha katra katra,hum uska mundap sajane me rah gaye,wo hamare dekhte dekhte ho gaye kisi or ke,or hum apne dil ko samjhane me rah gaye,hamne apni duniya ujad li unko pane ki chah me,or wo apna ghar basane me rah gaye,humne unke siwa kisi ko chaha hi nahi,or wo apni yari jatane me rah gaye,hamare sare riste unse shuru unse khatm hote the,or wo humko sirf apna dost banane me rah gaye,chhor diya unko unki khusi ki khatir unki duniya me,or hum...?Yu hi gumnaam se veerane me rah gaye.

Your Comment Comment Head Icon

Login