Kahi chhat thi deewaro dar the kahi,mila mujhko pata der se,diya to bahut zindgi ne mujhe,magar jo diya wo diya der se,hua na koi kaam mamul se,gujare shab roz kuch is tarah,kabhi chand chamka galat waqt pe,kabhi ghar me suraj uga der se,kahi ruk gaya raah me besabab,kahi waqt se pahle ghir aayi shab,hue band darwaje khul khul ke sab,jaha bhi gaya mai gaya der se,ye sab ittafaqat ka khel hai,yahi hai judai yahi mail hai,mai mud mud ke dekha kiya dur tak,bani wo khamosi sada der se,saza din bhi roshan hui raat bhi,bhare jaam lahrai barsaat bhi,rahe sath kuch aise halat bhi,jo hona tha jaldi wo hua der se,bhatkti rahi yu hi bandgi,mili na kahi se koi roshni,chhupa tha bhid me kahi aadmi,hua mujhe pyar ka ehsaas der se.

Your Comment Comment Head Icon

Login