Mehsoos dharkanoon mai jo karti thi aaj takWo geet tou mai aaj sunna kar hi jaown giChalkay jo pyemanay mai osi jaam ki tarhanMai pyar zindagi may yoon chalka k jaown giMout say darta nahi sammaa ka parwanaYeh raz mai dunya ko bata kar hi jaown giMousam-e- bahar mai hoti hai jo hal-chalKuch dil mai teray aaisi hi hal-chal machaon giQadmoon k teray naqsh kuch baqi hain raet perLehroon ki tarhan raet say milnay mai aaown giBhar lay ga apni bhahoon mai ek roz wo mujh koHar raat yahi soch keh khud ko sulaown giKehtay hain jannat mai bhi hoti hai mohabbatWada hai zindagi mai hi jannat dikhaown giLagta hai meray pyar k qadmoon ki chaap haiSajjday say yahi soch kar sir ko uthaown giHar baar tasawar mai obharta tha tera akksAaj apnay tasawar ko haqikat banaown giThukra bhi dia os nay kisi din mujhay agarWo pyar ki wadi say pukaray to aaown giPaya hai tujhay aaj duwaon kay assar sayKhudaya tera ahsaan mai kaisay chukkaown giToott jaye agar zindagi ki door bhi,MAHEK!Ban jaown gi ek yaad or khuwabon mai aown gi

Your Comment Comment Head Icon

Login