Musafir to bichadte hain , rafaqat kab badalti haiMohabbat zinda rehti hai,mohabbat kab badalti haiTumhi ko chahte hain hum ,tumhi se pyar karte hainYehi barson ki aadat hai aur aadat kab badalti haiTumhe jo yaad rakha hai yehi apni ibadat haiJo paththar par likhi jaaye ,ibarat kab badalti haiKali ka phool banna aur bhikhar jaanaYehi qaanoon -e- fitrat hai to fitrat kab badalti haiJo dil pe naqsh kar jaaye aur aankhon mein simat aayeAlaamat hai yeh chaahat ki to chaahat kab badalti haiUse chaaha use pooja yehi tauqeer hai apniHamein gumrah mat samjho ibaadat kab badalti haiPurane zakhm ko ab Bhula dein yahi achcha haiNa chaahe aap hi koi to qismat kab badalti hai

Your Comment Comment Head Icon

Login