Sabz maddham roshani may surkh anchal ki dhanakSard kamare may machalati garm sanson ki mahakBazuon ke sakht halqe may koi nazuk badanSilwaten malabus par anchal bhi kuch dhalaka huaGarmi e rukhsar se dahaki hui thandi hawaNarm zulfon se mulayam ungaliyon ki cher charSurkh honthon par shararat ke kisi lamhen ka aksReshami bahon may churi ki kabhi maddham dhanakSharmagin lahajon may dhire se kabhi chahat ki batDo dilon ki dharakanon may gunjati thi ek sadaKanpate honthon pe thi allah se sirf ek duaKash ye lamhe thahar jayen thahar jayen zara

Your Comment Comment Head Icon

Login