Tum Bin Guzar To Jayegi ZindigiPer Main Jee Na Paaoongi Tum BinHazaroon Sitaron Ki Bheer Main Bhi DekhoYeh Chaand Kitna Tanha Hai Tum BinRahon Kahin Bhi, Kisi Kay Sath BhiPer Main Hamaisha Udaas Hoon Tum BinMaana Chiragon Ki Roshni Main Hoon MainPer Meri Zindagi Main Andhaira Hai Tum BinBaharon Ka Mousam To Hai Gulshanon MainPer Pholoon Main Khushboo Nahi Hai Tum BinIss Hansi Ke Kehkahon Main DekhooMera Dil Ro Raha Hai Tum BinMera Sub Kuch To Tum HoMain To Kuch Bhi Nahi Hoon Tum Bin

kuch bholi bisri yadaiankuch piyari piyari baatain hainkuch kisey un ki chahat kkuch lafaz piyar muhabbat kkuch khas nahi hai mera piyarper itna aam bhi naa samjhoowoh dunia ki shikayat kerta haiper piyar woh mujeh sey kerta haius ko nahi maloom magerwoh kho jay ga ik din jabhum praymi loog hi chahain gaywoh phir sey kahain aabad to howoh aansoo aansoo roey gajab chahat hamari tarsaye gitab hum bhi kahaian gay ab janawoh yaadaian to diwani thinwoh jhota kisa tha sarahum ko tum sey piyar nahi

Tera dard tha, teri yaad thi,Main jahan raha, main jidher gaya,Mera din tu yunhi guzar gaya,Junhi sham hoi main bikhar gaya,Is abar ka mere yaar saybara milta julta mizaj hai,Kabhi tot k baras gaya,Kabhi berukhi say guzar gaya,Jab main chhor donga wo gali,Usay yaad aay gi tub meri,Dhondhay ga wo gali gali,Usay milay gi khaber K main mar gaya,Abi tang hai wo meray naam say,Mere baad wo aye ga, dosto.Tumhe ko rook k pochay ga wo,Wo kahan pe ha?Wo kidher gaya?Usay milay gi khaber k mai mar gya......

Ab kiya likhein hum kagaz parAb likhne ko kya baqi haiEk dil tha so wo toot gayaAb lutne ko kya baqi haiEk shaks ko hum ne chaha thaEk rait pe naqsh banaya thaIn rait k zaron ko hum nePhir apne dil mein sajaya thaOr rait to kab ki bikhar gaeWho naqsh kahan ab baqi haiAb kya likhein hum kagaz par ab likhne ko kya baqi haiHum jin ko apni nazmo ka unwan banaya karte thaylafzon ka baan kar taj mahal kagaz par sajaya kartay theyWo hum ko akela chor giyaSab rishton se mouh mor giyaAb rishtay sare sonay hainWho pyar kahan ab baqi haiAb kya likhein hum kagaz par ab likhne ko kya baqi hai

yeh na thi humari kismat k wisaal-e-yaar hota �ager or jeete rehte tu yehi intazar hotakahoon kiss se main k kia hai �shab-e-ghum bori bala haimujhe kia bora tha marna ..ager aek baar hotayeh na thi humari kismat k wisaal-e-yaa hota ..koei mere dil se pochetere teer neem kash koyeh khalish kahan se hoti ..ju jiger k paar hotatere wade per jiye hum..tu yeh jaan jhot jana ..k khoshi se mar na jate ager etbaar hota ..yeh na thi humri kissmat k wisaal-e- yaar hotayeh kahan ki dosti hai ..k bane hain dost saqi ..koi chehra saaz hota ..tu yeh na ghumm saath hota

Humesha muskura kay aansooun ko chupayaGhum ko chupanay ka yehi rasta nazar aayaKis kis ko batatey behtey ashkon ka sababKay derd-e-dil dil main kis nay jagayaMehfilon main kahin bhi maza na rahaRakha dil pay pather to khud ko sajayaBaat bay baat apni aahain daba kerYaron kay dermiyan kis qadar muskurayaNa thi chah kabhi mujahy mankashi kiJaam-e-wafa kisi bay wafa nay pilayaKya muqadar say shikwa kertey rahainJo qismat main tha wohi kuch to paayaYeh kis mor pay aagaee hain umeedainKay saaya-e-manzil nazar main na aayaApnoon nay palat kay daykha tak nahinGhairon nay aaker galay say lagaayaAcha hua kay raaz khul hi gayaDil-e-nadaan pay khanjar kis nay chalayaShab-o-roz chahat sila yeh hay shaikiDil kay tukrey huay wo chunney na aaya

kabhi chanda ki nagri say koi pegham aye tokabhi taroon ka honton per kisi ka naam aye tokabhi tareek shab main koi jugno jagmagata haiMUJHE WO YAAD ATA HAI........kabhi jab saans say uthta dhuan mehsoos hota hoajab si aanch pe haar karuan mehsoos hota hoto uss ki pyar ki barish main tan man bheg jata haiMUJHE WO YAAD ATA HAI........kabhi raaton ko uth uth kar bohat bechain hoti hoonagar jo letna chahon to bas takiye bhigoti hoonkoi ruthi hui shab neend ki pariyan bulata haiMUJHE WO YAAD ATA HAI........kabhi jab titliyon k pankh bhi be rang ho jayenmeri saari baharain bhi khizan k sang ho jayentabhi ek aas ka panchi dar e dil khatkatata haiMUJHE WO YAAD ATA HAI........wo jiss k dhyan ki kirnain hamain har subh jagati hainusi ki yaad k saye main shamin muskurati hainmujhe chu kar jo har shab sang say hera banata hai

Bina Jurm-o-Khata, Khood ko koi aisi Saza DenaBoht Mushkil hai Meri Janaa!! Tumhein bilkul Bhula DenaMere Maula! agar Tuu ne dubara Zindagi BakhsiTo bus itni Guzarish hai, Mujhe Patthar bana denaMai Zehni tor per Khood ko zara Tayyar kar loongiBichar jane se kuch pehley HAMDAM bata denaTumhari ye Shararat aaj tak naqsh hai Dharkan perDabe paoon chale ana, Mera Jhumka hila denaPhir is k baad jis k paas b jao, ijazat haiMujhe ek baar apne Naam ki Mehndi laga denaFaqat itna kaha tha na?.. Mujhe kuch Roshni dedoTumhein kis ne ye Bola tha, Meri Basti jala denaJise Barish k paani mai baha ker Muskhurate theMujhe Kagaz ki wo Kishti zara phir se bana denaUmar bhar phir Tumhara Rasta takne se acha haiKe Tum jane kuch pehley Meri Aankhien bhuja denaTumhein is baar Khatt mai faqat ye Baat likhni haiKe Sawan laut aaya hai... Mujhe Jhoola jhula dena

Kuch shikayatein baaki hai dil mein,Dil tootne ke is haadsat ke baad,Khabar teri yun aati rehti hai har dum,Kabhi tere aane se pehle kabhi tere jaane ke baad...Charcha hota rehta hai deewano ka yahan,Har jaan ek jist jaise nazar aati hai,Baithe baithe koi surat yaad aati hai mujhe,Kabhi tere aane se pehle kabhi tere jaane ke baad...Khamoshi mein aahat gunjti hai kanon mein,Jaise bula rahi ho dekar mujhe awaz,Achanak log kyun daudne lagte hai,Kabhi tere aane se pehle kabhi tere jaane ke baad...Naaz hai kyun mujhe apni mohabbat par itna,Ke yeh dil tujhe chahne ki zid par hai,Khwaab har pal toote nazar aate hai,Kabhi tere aane se pehle kabhi tere jaane ke baad...Rabta ishq se rakha maanga khuda se mehboob,Khatm kiye ranj saare ki dosti dushmano se bhi,Haalat jazbaat ban kar beh jate hai dekhkar tujhe,Kabhi tere aane se pehle kabhi tere jaane ke baad...

Ankhoon may kayi sapnay saja kar roye bohot hai hum.dil ko nayi dunya dikha kar kar roye bohot hai hum.woh badal gaya to pher li hum nay bhi nazar apni.par us kay khatoon ko jala kar kar roye bohot hai hum.laut aye to ahin us ki mehfil say bacha kar ana apni.par us ki bazm say a kar kar roye bohot hai hum.jisay kia tha roshan tamanhaon say hum nay apni.us shamy wafa ka bhuja kar kar roye bohot hai hum.jin kay saye mai ki thin hum nay kayin batain.un baghoon mai tanha ja kar kar roye bohot hai hum.kis qadar khoshi say kia hum dum ko rukhsat hum nay.magar sab say nazar bacha kay kar roye bohot hai hum.hosla tutnay ka ho to wafa karna kisi say .yeh batain logon ko suna kar roye bohot hai hum.phir yun hua kay ankhoon nay kayin rat jagay dekhay.palkoon pay teri yaad bitha kar roye bohot hai hum.wohi aj mujh say meray dard ki wajah chatha hai.jis ki batain aoron ko suna kar roye bohot hai hum.

Kabhi kabhi meray dil mein khayal ata haiK zindagi teri zulfon ki narm chhaon meinGuzarnay pati tu shadab ho bhi sakti thiYeh teragi jo meri zeest ka muqadar haiTeri nazar ki shuaon mein kho bhi sakti thiAjab na tha k mein begana alm ho karTeray jamal ki ranaeon mein kho rehtaTera gudaz badan teri neem baz ankheinInheen haseen fasanoon mein mehav ho rehtaPukarteen mujhe jab talkhiyan zamanay kiTeray labon say halawat k ghoont pee letaHayat cheekhati pherti barehna sir aur meinGhaneri zulfon k saya mein chhup k jee letaMagar yeh ho na saka aur ab yeh alam haiK tu nahi tera ghum teri justaju bhi nahiGuzar rahi hai kuch es tarah say zindagi jaisayZamanay bhar k dukhon ko laga chukka hoon galayGuzar raha hoon kuch anjani rahgawaron sayMuhayab saye meri simat bhartay atay hainHayat-o-maut k par hol kharzaron sayNa koi jada manzil na roshni ka charagBhatak rahi hai khalaon mein zindagi meriEnheen khalaon mein reh jaoo ga kabhi kho karMein janta hoon meri ham-nafas magar youn heeKabhi kabhi meray dil mein khayal ata hai

yadon mein kabhee aap bhi khoyae hongae,khulee ankon se kabhee aap bhi soyae hongae,mana hasna hai aadath gum chupanae ki,par haste-haste kabhee aap bhi royae hongae!!!dard kafi hai bekudhe ke liye,maut zaroori hai zindagi ke liye,kaun marta hai kisi ke liyaehum to zinda hai sirf aap jaise dosto ke liye!!faslae mita kar aapas mein pyar rakhnaadosti ka yeh ristha humesha yun hi barkaraar rakhnabichad jaye kabhi aap se humanakho mein humesha humara intezaar rakhna!!ek pathar kafi hai sisha thodnae ke liyeek baath kafi hai dil thodnae ke liyeaur ek dost kafi hai zindagi jee lene ke liye!!kuch nasha apki baton ka hai,kuch nasha dheemi barsat ka hai,hamne aap yunhi sharabi math kahiyaeyeh dil par asar apkae mulaqat ka hai!!jindagi kisi ki amanat nahi hoti,manant mein kabhi qayamath nahi hoti,dil bhi sochkar lagana ae dostishq ki quaid mein kabhi jannath nahi hoti!!jab bhi tanhai ne unko sataya hoga,tab tab unko mera khayal aaya hogagum ye nahi hai ki woh bhool gayae humkogum yeh hai ki ro ro ke bhulaya hoga!!yaad teri na aayae aisa honae na dengae,dost tere jaise khonae na dengaesharafat se contact me rehnaavarna kaan ke nichae do kheench ke denge!!ulfat ka akher yahi dastur hota hai,jisae chaho woh hi apnae se dur hota hai,dil tut kar bhi bikartha hai is kedar,jaise koyee kaanch ka khilona chur-chur hota hai!!dil todna humari adat nahi,dil hum kisika dukhate nahibharosa rakhna humarae dosti pedost bankar hum kisiko bhulaathe nahi!!umar ki raah me insaan badal jathe haiwaqt ki aandhi main tufaan badal jathe haisoctha hoon tumhe pareshan na karulekin baad mein iradha badal jatha hai!!