Wo sunta to main kehta,mujhe kuch aur kehna tha,wo pal bhar ko jo ruk jata,mujhe kuch aur kehna tha.kamai zindagi bhar ki,usi k naam to kar di,mujhe kuch aur karna tha,mujhe kuch aur kehna tha.kahan us ne suni meri,suni b un-suni kar di,usay maloom tha itna,mujhe kuch aur kehna tha.meray dil main jo dar aya,koi mujh main b dar aya,waheen ik rabta toota,mujhe kuch aur kehna tha.rawan tha piyar NUS NUS main,bohat qurbat thi apis main,usay kuch aur sun-ana tha,mujhe kuch aur kehna tha.ghalat fehmi ne baton ko barha dala younhi warna,kaha kuch tha,wo kuch samjha,mujhe kuch aur kehna tha.

Your Comment Comment Head Icon

Login